This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Saturday, 31 May 2014

Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani..

Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani, zara phir se kehna,

Barri dilrubaa hai yeh saari kahani, zara phir se kehna..



Jo uski chaah me guzri woh zindagi hai meri..

Jo uski chaah me guzri woh zindagi hai meri,

Uske baad to guzaara hai zindagi ne mujhey..



Friday, 30 May 2014

Dard mene kamaa liye kaafi..

Dard mene kamaa liye kaafi,

Zabt ki abb zakaat wajib hai..



Kitni dilkash hai khamoshi teri..

kitnidilkashhaikhamoshi_8767_1234_temp

Kitni dilkash hai khamoshi teri,

Meri sari baten fazool hon jese..



Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai..

Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai,

Khushii se bolnaa jis shakhss ka mamool ho jaye..



Thursday, 29 May 2014

Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin..

Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin,

Reh gayi aik “nahin”, “haan” ka kahin naam nahin..



Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de..

Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de,

Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..



Gham mein bhi khushi na hui..

Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui,

Woh zindagi to mohabbat ki zindagi na huiii…



Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi..

Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi,

Aur keh raha tha mene sab kuch bhulaa diyaa..



Wednesday, 28 May 2014

Aye mujhe khawb dikhaney waley logo sun lo..

Aye mujhe khawb dikhaney waley logo sun lo,

Mera dukh yeh hai koi khawb nahin bhoolta mein..



Aaj kal sach puchiye to muskurata kon hai..

Aaj kal sach puchiye to muskurata kon hai,

Khud’farebi hai faqat, hansta hansaata kon hai..

Aaj kal sach puchiye to muskuraata kon hai



Tuesday, 27 May 2014

Aik aahatt bhi nahin chorr saka jatey huye..

Aik aahatt bhi nahin chorr saka jatey huye,

Itna chup chaap barabar se utha kon tha woh..



Tum ko jab bojh lage mohabbat to bata dena..

Tum ko jab bojh lage mohabbat to bata dena,

Main chup chaap mohabbat say mukar jaunga..



Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon..

Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon lekin,

Nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aatey ho..



Monday, 26 May 2014

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon..

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,

Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..



Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak..

Jo tumhe bhool chuka hai

Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak,

Jo tumhe bhulaa chuka hai usey tum bhi bhool jao..



Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam..

Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam,

Koi apne siwaa magar apnaa naheen hota..



Sunday, 25 May 2014

Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye..

Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye,

Muddat se aarzuu thi seedha kare koi..



Main agar toot bhi jaaon to aayina hoon..

Main agar toot bhi jaaon to aayina hoon,

Tum mere baad bhi har roz sanwartey rehna..



Saturday, 24 May 2014

Wohi ranjishen, wohi hasrtein..

wohiranjishen

Wohi ranjishen, wohi hasrtein, na hi dard-e-dil mein kami hui,

Hai ajeeb si meri zindagi, na guzar saki na hatam huyi..



Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha..

Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha,

Koi kya mujh sa bhi jeet ke haara ho ga..



Friday, 23 May 2014

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota..

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,

Diboyaa mujhe ko hone ne, na hota mein to kya hota..



Thursday, 22 May 2014

Hum bohat door nikal aye hain chalte chalte..

humbohatdoornikalayehain

Hum bohat door nikal aye hain chalte chalte,

Ab theher jaayen kahin shaam ke dhalte dhalte..



Wednesday, 21 May 2014

Bikhri kitaabein, bheegey auraaq aur yeh tanhai..

Bikhri kitaabein, bheegey auraaq aur yeh tanhai,

Kahoon kese ke mila mohabbat mein kuch bhi nahi..



Batao na tumhe kese bhulaaon..

bataotumhekesebhulaon

Batao na tumhe kese bhulaaon,

Tum to waqif ho is hunar se..



Dhoond raha hoon chalne ki tadbeer koi..

Dhoond raha hoon chalne ki tadbeer koi,

Baandh geya hai pairon mein zanjeer koi..



Tuesday, 20 May 2014

Ghair ki baaton ka aakhir aitbaar aa hi geya…

Ghair ki baaton ka aakhir aitbaar aa hi geya,

Meri janib se tere din main ghubaar aa hi geya..



Gham is tarah raha hai musalsal..

Gham is tarah raha hai musalsal khushi ke sath,

Saaya ho jis tarah se laga roshni ke saath..



Monday, 19 May 2014

Thami hai kalaai un ki ab na choote gi mujh se..

Thami hai kalaai un ki ab na choote gi mujh se,

Toot’ti hain choorriyan to tootten ab meri balaa se..!!



Nahi shikwa mujhe kuch teri bewafayi ka..

nahishikwa

Nahi shikwa mujhe kuch teri bewafayi ka harfiz,

Gilaa to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaayi ho..



Sunday, 18 May 2014

Mohabbat mein suno tum khud to bewafa ho..

Mohabbat mein suno tum khud to bewafa ho,

Woh jo bichrra to tum mar kyun na gaye..



Saturday, 17 May 2014

Aa ke tu jhanjhorr mujh ko, Ishq ka izhar kar..

Aa ke tu jhanjhorr mujh ko, Ishq ka izhar kar,

Mudatton se so raha hoon, Neend se baidaar kar..



Ana’aa parasat hai itna ke har baat se pehle..

Ana’aa parasat hai itna ke har baat se pehle,

Woh uthh ke band meri har kitaab kar de..



Friday, 16 May 2014

Khaak muthi mein liye qabar ki yeh sochta hoon..

khaakqabarki

Khaak muthi mein liye qabar ki yeh sochta hoon,

Insaan jo martey hain to gharoor kahan jata hai..



Gham ki tashreeh bohat mushkil thi..

Gham ki tashreeh* bohat mushkil thi,

Apni tasveer dikhaa di hum ne..


(tashreeh;explanation)



Thursday, 15 May 2014

Dosti jab kisi se ki jaaye..

Dosti jab kisi se ki jaaye,

Dushmanon ki bhi raaye li jaye..



Ana’aa ke morr pe bichrre to hamsafar na mile..

Ana’aa ke morr pe bichrre to hamsafar na mile,

Hum aik sheher mein reh kar bhi umar bhar na mile..



Wednesday, 14 May 2014

Dil ke sehraa main kab aalam-e-tanhai hai..

Dil ke sehraa main kab aalam-e-tanhai hai,

Jab bhi dekha teri tasveer nazar ayi hai..



Yeh rakh rakhaao mohabbat sikha gayi usko..

Yeh rakh rakhaao mohabbat sikha gayi usko,

Woh rooth kar bhi mujhse muskuraa ke milta hai..



Tuesday, 13 May 2014

Waqt khush khush kaatne ka mashwra dete huye..

Waqt khush khush kaatne ka mashwra dete huye,

Ro parra woh aap mujh ko hauslaa dete huye..



Monday, 12 May 2014

Gham-e-zindagi ko Adam sath le ker..

Gham-e-zindagi ko Adam sath le ker,

Kahan ja rahe ho, saweray saweray..


Adam



Gham ki andheri raat me dil ko na beqaraar kar..

Gham ki andheri raat me dil ko na beqaraar kar,

Subaah zaroor aye gi subah ka intezaar kar..



Sunday, 11 May 2014

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to..

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to Faraz,

Dard kaisa hi uthay haath na dil pe rakhnaa..



Jitna suljhaao ge yeh aur ulajh jaye gi..

Jitna suljhaao ge yeh aur ulajh jaye gi,

Zindagi zulf to nahi jo sanwar jaye gi..



Saturday, 10 May 2014

Tera na ho saka to mar jaon ga..

Tera na ho saka to mar jaon ga,

Kitna khobsurat wo jhoot bolta tha..



Friday, 9 May 2014

Mere mizaaj pe hairaan hai zindagi..

Mere mizaaj pe hairaan hai zindagi ka shauur,

Mein apni maut ko aksar galey laga ke mila..



Khoon-e-dil peeney ko, lakht-e-jigar khaney ko..

Khoon-e-dil peeney ko, lakht-e-jigar khaney ko,

Yeh ghazaa milti hai lailaa tere deewaney ko..



Thursday, 8 May 2014

Roz mujh ko fareb deta hai..

Roz mujh ko fareb deta hai,

Kher us ko yeh zaib deta hai..



Be’laus mohabbat ke siwaa kuch bhi nahin..

Be’laus mohabbat ke siwaa kuch bhi nahin,

Chaahe to meri soch ki talaashi le lo..



Wednesday, 7 May 2014

Main faqeeri se hi karta hoon tijaarat aksar..

Main faqeeri se hi karta hoon tijaarat aksar,

Aik paise mein jo lakhon ki dua dete hain..



Kahan paaon rakhoon zameen nahin..

Yeh hala’aa* hai arsh-e-bareen* nahin,

Kahan paaon rakhoon zameen nahin,


Tere dar pe sajde ka shauq hai,

Jo yahan nahin to kaheen naheen..


(hala’aa;space, arsh;sky, bareen;whole, arsh-e-bareen;whole sky)



Tuesday, 6 May 2014

Gum sum hua, awaaz ka darya tha jo ek shakss..

gumsumhuaawazkadarya


(satron;lines, fehrist;list, munkar;one who does not accept)



Raha na dil main woh be’dard aur dard raha..

Raha na dil main woh be’dard aur dard raha,

Muqeem kon hua hai, maqaam kiss ka thaa..



Sochta hoon bana hi daloon main..

Sochta hoon bana hi daloon main,

Ek firqaa udaas logon ka..



Dard ke lamhe kab hum per asaan bane..

Dard ke lamhe kab hum per asaan bane,

Jo dukh aansuu na ban sake woh tufaan bane..



Monday, 5 May 2014

Har shakhss meri zaat se janey ke liye tha..

Har shakhss meri zaat se janey ke liye tha,

Tu bhi meri zaat se janey ke liye hai..



Dard ka hai yeh kaun saa mausam..

Dard ka hai yeh kaun saa mausam,

Main to jalne laga hoon chaaon mein..



Sunday, 4 May 2014

Raat us ko bhi khawb mein dekha..

Raat us ko bhi khawb mein dekha,

Jis ko har dam hijaab mein dekha..



Saturday, 3 May 2014

Ya tera tazkraa kare har shakss..

Ya tera tazkraa kare har shakss,

Ya koi mujhse guftguu na kare..



Friday, 2 May 2014

Hoslay bhi toot jaatey hain aksar..

Manzilon ke gham mein ronay se manzilein nahin milti,

Hoslay bhi toot jaatey hain aksar udaas rehney se..



Kartey hain meri haamiyon ka tazkraa is tarah..

Kartey hain meri haamiyon ka tazkraa is tarah,

Log apne amaal mein farishtaa hon jaisey..



Thursday, 1 May 2014

Kahani mein koi rad-o-badal kar..

Kahani mein koi rad-o-badal kar,

Mera tujh se bicharrna banta nahi..