This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.This theme is Bloggerized by Lasantha Bandara - Premiumbloggertemplates.com.

Friday, 28 February 2014

Mitt jaye ga gunahon ka tasavur is jahaan se..

Mitt jaye ga gunahon ka tasavur is jahaan se,

Agar ho jaye yaqeen ke khuda dekh raha hai..



Thursday, 27 February 2014

Aag paani mein lagane ka hunar seekha hai..

Aag paani mein lagane ka hunar seekha hai,

Kaam mushkil hai bohat hum ne magar seekha hai,


Yeh jo chaltay nazar aatay hain musalsal hum log,

Kuch to paanay ki talab hai jo safar seekha hai..


Imran Rashid Yawar



Wednesday, 26 February 2014

Main taluq hoon toot jaaon ga..

Main taluq hoon toot jaaon ga,

Tum hawaala ho yaad aao ge..



Aaya tha imtehaan mein mazmoon bewafa..

mazmoonbewafa

Aaya tha imtehaan mein mazmoon “Bewafa”,

Wazaahat jo teri ki hum Top kar gaye..



Rota hai khilonay ke liye..

Rota hai khilonay ke liye, chupp nahin hota,

Dushman ka yeh bacha, mere bachey ki tarah hai..



Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye..

Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye,

Dhoye gaye hum itney ke bass paak ho gaye..



Akssar auakaat bharey sheher ke sanattay mein..

aksaraukaatbharesheher_8767_1234_temp

Akssar auakaat bharey sheher ke sanattay mein,

Is qadar zor se hansta hoon ke dar jata hoon..



Tuesday, 25 February 2014

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,

Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,


Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,

Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,


Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,

Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,


Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,

Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,


Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,

Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,


Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,

Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,


Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,

Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,


Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,

Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,


Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,

Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,


Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,

Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…



Kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi..

Kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi,

Gaye dinon mein bohat ba-kamaal they hum bhi..



Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya..

Kuch aansu, kuch khushiyan de ker ttaal geya,

Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya,


Kon jaaney ke kal ka samaa kesa ho ga,

Ab tak to kal sa hi hai sab haal geya..



Mere wajood ki jageer us ne mangi hai..

Mere wajood ki jageer us ne mangi hai,

Ajab khawab ki tabeer us ne maangi hai,


Us ki qaid main rahti hoon main pahle bhi,

Na janay phir kyon zanjeer us ne mangi hai


Gumaan hota hai wo bhool sakta hai mujhe,

Kyon ke aj mere tasveer us ne mangi hai,


Mere khuda mujhe us ke naseeb main likh de,

Ke mujh se meri taqdeer us ne mangi hai..



Yoon hi ankhon mein aaa gaye ansu.

Yoon hi ankhon mein aaa gaye ansu,

Jayiye aap, koi baat naheen..


Dagh



Monday, 24 February 2014

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa..

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa,

Woh hai naazuk mere khawbon jaisa..


Johar Syedi



Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley..

Aye dil! Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley,

Duniya se na barrh kar koi veeraana mileyga..


Waheed Ullah Abadi



Maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti..

Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti,

Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota..


Dagh



Sunday, 23 February 2014

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham..

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham,

Neend Ka Ghar Ujaar Baithey Hain..



Aansuyon mein nihaayi hui hai raat..

Phir aaj aansuyon mein nihaayi hui hai raat,

Shayed hamari tarah hi sataayi hui hai raat.



Yeh mujhe chain kyun nahin parrta..

yehmujhechain

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,

Aik hi shakhss tha jahan mein kya ?



Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota.

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota,

Jo hath jigar per hai, woh dast-e-dua hota,


Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat,

Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota,


Nakaam-e-tamanna dil, is soch mein rehta hai,

Yooon hota to kya hota, yoon hota to kya hota,


Umeed to bandh jati, taskeen to ho jati,

Vaada na wafaa kartey, vaada to kiya hota,


Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne,

Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..


Chiragh Hassan Hasrat



Bicharrne waley, Chale jo ho to, bataa ke jao..

Bicharrne waley,

Chale jo ho to bataa ke jao,

Ke kitni shaamain udaas ankhon mein kaatni hain,

Kitni subhen akele pan mein guzaarni hain,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke kitne suraj,

Azaab raston ko dekhna hai,

Ke kitne mahtaab sard raton ki wusat’on se

nikalney hain,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke chand raton mein

Waqt kese guzaarna hai,

Khamosh lamhon mein tujh ko,

Kese pukaarna hai,

Bata ke jao ke kitne lamhe,

Shumaar karne hain hijrton ke,

Ke kitne mausam judayion mein,

Guzaarney hain,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke panchiyon ne,

Akele pan ka sabba jo pucha,

To kya kahoon ga,

Kisi ne rastey mein rok kar,

Yoon mujhse poocha,

Ke pichle mausam main saye saye,

Jo ajnabi tha kahan geya hai,

To kya kahoon ga,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke mein kis se,

Tera gilla karoon ga,

Bicharr ke tujhse habib,

Kis se milla karoon ga,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke ankh barsi,

To kon moti chunaa kare ga,

Udaas lamhon mein,

dil ki dharrkan suna karega,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke mausamon ko,

Payyaam dene hain ya nahin,

Falak ko, taaron ko, Jugnu’on ko,

Sallam dene hain ya nahin,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna,

Ke kis ki baton pe be’niazi,

Ke silsley ikhtyaar karna,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke ab rawayion ki

Chaal kya ho,

Jawab kya ho, Sawaal kya ho,

Urooj kya ho, Zawaal kya ho,

Nigaah rukhsaar, zulf chehra,

Niddhaal kya ho,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke meri halat pe,

Chandni khilkhila pari to kya karon ga,

Bata ke jao ke meri soorat pe

Teergi muskura parri to,

Mein kya karoon ga,

Bata ke jao,


Bata ke jao ke tumse bicharr ke,

Yeh waqt kese guzaarna hai,

Bicharr ke tum se yeh waqt,

Kese guzaarna hai,

Ujaarna hai, nikhaarna hai,

Badan ko kitna sanwaarna hai,

Bata ke jao,


Bicharrne waley,

Chale jo ho to,

bataa ke jao,

bataa ke jao..



Saturday, 22 February 2014

Hadh-e-adab ki baat thi..

Hadh-e-adab ki baat thi, hadh-e-adab mein reh gayi,

Maine kaha main chalaa, us ne kaha ke jaayiye..



Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho,

Hum-sukhan koi na ho, aur hum-zubaan koi na ho,


Parriye gar beemar to koi na ho teemar’daaar*,

Aur agar mar jaayiye to noha-khuwaa’n* koi na ho..


(teemar’daaar;caretaker, noha-khuwaa’n;noha reciter)



Beqaraari bhi hai, qaraar bhi hai..

Beqaraari bhi hai, qaraar bhi hai,

Gham ganwaar bhi hai, nagwaar* bhi..


(nagwaar;intolerable, insufferable)


Safia Shameem



Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge..

Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge,

Kab is dil ke saaz mein sajan, tum ban ke jhankar raho ge,


Kab tak behlao ge, meri bhooli bhatki nazron ko,

Kab tak meri raah mein ban kar sheeshey ki deewar raho ge,


Subah ka madham taara ban kar, mein aaaon ga tum se milney,

Bolo kya manzoor hai tum ko, bolo kya tayyaar raho ge,


Is baagh-e-hasti mein sab ke apne apne manssab hain,

Hum phoolon ka rang rahen ge, Tum hanjjar ki dhaar raho ge,


Jaan-e-tammana! apne Saghir ko batlao, ankh mila kar,

Us ke haq mein akhir kab tak, Kafir ka inkaar raho ge..



Aana to chahiye tha usey aaj shab zaroor..

Aana to chahiye tha usey aaj shab zaroor,

Aey Qalb*-e-beqarar, na aye to kya karoon..


(qalb;heart)

Addam



Muddat guzar gayi ke yeh aalam hai..

Muddat guzar gayi ke yeh aalam hai mustaqil,

Koi sabbab nahin hai magar dil udaas hai..



Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai..

Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,

Jalib chalo kahin se usey dhoond layen hum..



Friday, 21 February 2014

Durust kar hi liya maine nazriya apna..

Durust kar hi liya maine nazriya apna,

Ke dard na ho to muhabbat mazaaq lagti hai..



Hall nikaala hai yeh udaasi ka..

Hall nikaala hai yeh udaasi ka,

Ab mukammal udaas rehta hoon..


Saadullah Shah



Dil to mera udaas hai..

Dil to mera udaas hai Nasir,

Sheher kyun saayen saayen karta hai.



Zikr jab chirr geya qayamat ka..

Zikr jab chirr geya qayamat ka,

Baat pohanchi teri jawani tak..



Thursday, 20 February 2014

Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne..

Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne,

Kitni raton ko tujhe uthe ke pukara hum ne,


Jab kabhi hath se umeed ka daaman choota,

Le liya aap ke daaman ka sahara hum ne,


Yoon to dunya bhi mukhaalif hai hamari warna,

Rukh badaltey huye dekha hai tumhara hum ne,


Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,

Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,


Ae Taqi, Gham nahin yeh jaan rahe ya na rahe,

Paa liya un nighaaon ka ishaara hum ne..



Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz,

Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..



Aayina dekh kar tassali hui..

ayinadekhkar

Aayina dekh kar tassali hui,

Hum ko is ghar mein janta hai koi..



Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh..

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh,

Aur yeh bhi dekhte hain koi dekhta na ho..



Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye..

Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye,

Khuda kare ke meri zindagi wafa na kare..



Mere samney churaa liya geya mujhe..

Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe,

Qateel mere samney churaa liya geya mujhe,


Kabhi jo un ke jashn mein seyaahiyan bikhar gayin,

To roshni ke vaastey jalaa liya geya mujhe,


barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe,

Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe,


Jab un ke deed ke liye qitaar mein kharra tha mein,

Qitaar se na jaane kyun hattaa liye geya mujhe,


Mein rondney ki cheez tha kisi ke paon se magar,

Kabhi kabhi to zulff mein sajaa liya geya mujhe,


Sawaal tha ke wafaa hai kya, jawab tha ke zindagi,

Qateel pyar se galey laga liya geya mujhe..



Wednesday, 19 February 2014

Sochta hoon woh jahaan kesa hai..

Sochta hi rehta hoon woh jahaan kesa hai,

Doosri taraf se woh aasmaan kesa hai..



Toot kar bhi dharrakta rehta hai..

Toot kar bhi dharrakta rehta hai,

Dil sa bhi koi wafaadar na ho..



Yoon na jhanko ghareeb ke dil mein..

belibaas

Yoon na jhanko ghareeb ke dil mein,

Yahan hasrtain be-libaas rehti hain..



Jab maza hai ke donon hon beqaraar..

Ulfat ka jab maza hai ke donon hon beqaraar,

Donon taraf ho aag baraabar lagi huyii..


Sheefta



Mein samjhi tere aney ka sandesa..

Aik lamhe ko mein samjhi tere aney ka sandesa,

Dar pe dastak kissi bachey ki shararat nikli..



Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin..

Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin,

Ke saans lena bhaari hai mujh pe tere bin,


Na jee saken na mar hi saken judaayi mein,

Yeh zulm kesa jaari hai mujh pe tere bin,


Na kuch dikhayi deta hai na soojjhay kuch,

Andher duniya saari hai mujh pe tere bin,


Ke chorr ker jis din se gaye ho tum mujhe,

Shadeed aah-o-zaari* hai mujh pe tere bin,


Main bhool betha hoon apne aap ko jana,

Teri ajaara-daari* hai mujh pe tere bin,


Sadaa guzaaron kese bahaar ke din mein,

Yeh zarb* yeh bhi kaari* hai mujh pe tere bin..


(aah-o-zaari;heartfelt request, aah-o-zaari;moan, zarb;hit kaari;hard)



Tuesday, 18 February 2014

Ankhen ho gayin bojhal meri..

Aa bhi jao ab ke ankhen ho gayin bojhal meri,

Neend aa jaye gi, dar khulaa reh jaye ga..


Syed Gohar



Ye na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota..

Ye na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota,

Agar aur jeetey rehtey, yehi intezaar hota..



Raat yoon saans ruk gayi meri..

Raat yoon saans ruk gayi meri,

Tu mujhe bhool geya ho jaise..



Agar mohabbat ki hadh nahin koi..

Agar mohabbat ki hadh nahin koi,

Dard ka hisaab kyun rakhoon ?



Maut to naam se badnaam huyi warna..

mauttonaamsebadnam

Maut to naam se badnaam huyi warna,

Takleef to zindagi bhi diya karti hai..



Achey lage jo tum, so hum ne bata diya..

Achey lage jo tum, so hum ne bata diya,

Nuqsaan yeh hua, ke maghroor ho gaye tum..



Na jane phir bhi kyun acha laga ha..

Na jane phir bhi kyun acha laga hai,

Agarchey zakham bhi gehraa laga hai,


Koi bichrra hai jaaney phir kisi se,

Suna hai aaj phir mela laga hai,


Raha haayel hamarey darmeyaan jo,

Mujhe woh faasla acha laga hai,


Main kyun na saadgi se us ko keh doon,

Mujhe woh shakhss kyun pyaara laga hai,


Unhe jiss baat ki parwaah nahin hai,

Mujhe us baat ka dharrka laga hai,


Ghiraa betha hai jo yaaron mein Khawar,

Mujhe woh aadmi tanhaa laga hai..


R N Khawar



Monday, 17 February 2014

Tu jo itna udaas hai Nasir..

Tu jo itna udaas hai Nasir,

Tujhe kya ho geya bata to sahi..



Behka to bohat behka, sambhlaa to bohat sambhla..

Behka to bohat behka, sambhlaa to wali thehra,

Is khaak ke putlay ka har rang niraala hai..



Bhar aayen na ankhen to ik baat kahoon..

bharayennaankhen

Bhar aayen na ankhen to ik baat kahoon,

Ab tum se bicharrney ka imkaan bohat hai..



Akal laayi hai dhoond kar lakhon.

Akal laayi hai dhoond kar lakhon,

Ishq bhaari hai sab daleelon par..



Usey kaho ke milne ki ab dua na kare..

Usey kaho ke milne ki ab dua na kare,

Guzar gaye hain jo lamhe unhe haraa na kare,


Mujhe bhi khawb ke sehraa main ab nahin rehna,

Usey kaho ke khawbon se ab wafaa na kare,


Agar milay to khuloos o wafaa ho sath us ke,

Woh darmeyan main koi masla-e-anaaa na kare,


Dilon ke dard hamesha hi rastey rehte hain,

Magar yeh dukh ke kabhi ankh haq adaa na kare,


Hamarey hath mein rekha-e-wasl to hai magar,

Yeh khauf hai ke muqaddar kahin wafaa na kare,


Khuda gawah ke usey dekh kar hi jeetey hain,

Jo samney to rahe hain magar gilaa na kare,


Tumhare naam ki tasbeeh yeh kab se karta hai,

Mera yeh dil ke koi kaam ab kiya na kare,


Main apne naam se roshan rahoon ga dunya main,

Usey kaho meri jaanib koi diyaa na kare..



Sunday, 16 February 2014

Jo muh ko aa rehi thi, ab lipti hai paoon se..

Jo muh ko aa rehi thi, ab lipti hai paoon se,

Barish ke baad khaak ki fitrat badal gayi..



Ghairon se kaha tum ne..

Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne,

Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..



Mein pareshaan tha, pareshan hoon..

Mein pareshaan tha, pareshan hoon, neyi baat nahin,

Aaj woh bhi hain pareshan, khudaa khair kare..



Haal-e-dil kehne geya tha, na kaha..

Haal-e-dil kehne geya tha, na kaha,

Mausamon per guftguu achi rahee..



Saturday, 15 February 2014

Ragon mein khoon khaya ja raha hai..

Ragon mein khoon khaya ja raha hai,

Mujhe shayed bhulaaya ja raha hai,


Parri aangan mein mere dhoop aese,

Pas-e-deewar saaya ja raha hai,


Milaawat jab se jazbon mein hui hai,

Haqeeqat ko chupaaya ja raha hai,


Arey kyun ro diye tum mujh pe aese,

Mujhe to aazmaaya ja raha hai..


R N Khawar



Pas-e-parda woh saansain bechtey hain..

Pas-e-parda woh saansain bechtey hain,

Bazaahir jo ghubaarey bechtey hain..



Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila..

wohapnefayede

Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila hum se,

Hum nadaan samjhey yeh hamaari duaaon ka assar hai..



Taleem-o-taraki mein hai peechey..

Khairat hai ke taleem-o-taraki mein hai peechey,

Jiss qaum ka aghaaz hi Iqraa se huaa thaa..



Soya naheen hon mein sulaa do maan..

Soya naheen hon mein sulaa do maan,

Aajao mujhe lori sunaa do maan,


Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,

Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,


Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,

Bikhray hain mere baal bana do maan..



Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho..

Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho Mohsin,

Aessi kashti ko sammandar bhi duaa deta hai..



Eid pe teri deed na hona..

Eid pe teri deed na hona,

Kya kijiye is eid ka hona..



Friday, 14 February 2014

Woh lafzz dhoond raha tha..

zaeefbaapne_8767_1234_temp

Woh lafzz dhoond raha tha laraztey honton se,

Zaeef baap ne bete se baat karni thee..



Akal ayyaar hai, sau bhaiss bana leti hai..

Akal ayyaar* hai, sau bhaiss bana leti hai,

Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem..


(ayyaar;clever)



Yeh jawaani bhi burrhapey ki tarah guzrey gi..

Yeh jawaani bhi burrhapey ki tarah guzrey gi,

Umar jab kaat chukoon ga to shabaab aye ga..



Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar..

Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar,

Ya to hota hai ya naheen hotaa..



Kaanch sa jism kahin toot na jaye..

Kaanch sa jism kahin toot na jaye,

Husn waley teri angrrayi se dar lagta hai..



Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha,

Meri tanhai mukammal tere aaney se hui..



Apna to chahton mein yehi asool hai..

apnatochhton

Apna to chahton mein yehi asool hai,

Jab tu kabool hai to tera sab kuch qabool hai..



Har ik mausam ka har ik rang shamil hai..

Mohabbat mein har ik mausam ka har ik rang shamil hai,

Mohabbat ka koi ik rang ya mausam naheen hotaa..



Thursday, 13 February 2014

Udaas tha manzar chiraagh bhujney ka..

Bohat udaas tha manzar chiraagh bhujney ka,

Lippat ke ro diya mein bhi hawaa ke jhonkay se..



Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye..

Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye,

Bohat dinon se tabiyat meri udaas naheen..



Aalam-e-ghurbat ki shaam thi..

Dil tha udaas, aalam-e-ghurbat ki shaam thi,

Kya waqt tha ke tum se mulaaqat ho gayi..



Wednesday, 12 February 2014

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab hatam hua..

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab hatam hua,

Shabaab hatam hua, azaab hatam hua..



Dekh to bahar gali mein koi aya to nahin..

Dekh to bahar gali mein koi aya to nahin,

Ya hawaa ko aaj phir soojhi hai phir dillagi..



Maana ke meri sheh-rag se qareeb hai tu..

Maana ke meri sheh-rag se qareeb hai tu,

Magar mein yeh faasla bhi kahan chahta hoon..


(sheh-rag;cephalic vein)



Pehle teri thi justuju mujh ko..

pehleterithi

Pehle teri thi justuju mujh ko,

Ab mein apni talaash karta hoon..



Tuesday, 11 February 2014

Jo guzaari na ja saki hum se..

Jo guzaari na ja saki hum se,

Hum ne woh zindagi guzaari hai..



Monday, 10 February 2014

Khush khush kattney ka mashwra dete huye..

Khawb khush khush kattney ka mashwra dete huye,

Ro parra woh khud mujh ko hausla dete huye..



Tum bhi ho beetay huye waqt ki maanind..

Tum bhi ho beetay huye waqt ki maanind, hu-bahuu,

Tum ne bhi yaad ana hai, aana to naheen hai..



Sunday, 9 February 2014

Us ke janaazey mein tha shareek..

Saara hi sheher us ke janaazey mein tha shareek,

Tanhaayiyon khauf se jo shakss mar geyaa…



Kon chahe ga tumhe meri tarha..

Kon chahe ga tumhe meri tarha,

Ab kisi se na mohabbat karna..



Ishq sasta bohat mila..

ishqsastabohatmila_8767_1234_temp

Ishq sasta bohat mila,

Ishq mehnga bohat parra..



Saturday, 8 February 2014

Ab jo rootho ge to haar jao ge..

Ab jo rootho ge to haar jao ge,

Hum manaanay ke gur bhulaa bethe..



Deemak ki tarah chaattey ga mere wajood ko..

deemakkitarah_8767_1234_temp

Deemak ki tarah chaattey ga mere wajood ko,

Yoon ishq mujhe khokhlaa andar se karega..



Poocha jo un se ke chaand nikalta hai kis tarah..

Poocha jo un se ke chaand nikalta hai kis tarah,

Zulfon ko rukh pe daal ke jhatkaa diya ke yoon..



Friday, 7 February 2014

Jise khud se hi nahin furstain..

Jise khud se hi nahin furstain,

Jise khayal apne kamaal ka,

Usey kya khabar mere shoq ki,

Usey kya pata mere haal ka..



Qaafiley rait huye dasht junoon mein kitne..

Qaafiley rait huye dasht junoon mein kitne,

Phir bhi awaara mizaajon ka safar jaari hai..



Dil ka rog yeh chahat, khuda kisi ko na de..

Yeh dil ka rog yeh chahat, khuda kisi ko na de,

Buri balaa hai mohabbat, khuda kisi ko na de,


Tarrap, junoon, yeh ruswaayiyan, akela pan,

Qadam qadam pe museebat, khuda kisi ko na de,


Zaroori hai to bohat zindagi mein ishq magar,

Yeh jaan-leva zaroorat khuda kisi ko na de,


Jo chott tu ne mujhe di, koi na de tujh ko,

Yeh bewafaayi ki aadat khuda kisi ko na de..



Thursday, 6 February 2014

Tujh ko bhoolon, koshish karke dekhoon ga..

Tujh ko bhoolon, koshish karke dekhoon ga,

Wese daryaa ultaa behnaa mushkil haii..



Tamaam raat tere intezaar mein ae dost..

Tamaam raat tere intezaar mein ae dost,

Mera yaqeen bhatakta raha, gumaan ki tarah..



Tum kissi aur ke ho jaao janaan..

Tum kissi aur ke ho jaao janaan,

Ameer honey mein abhi waqt lagega..



Wednesday, 5 February 2014

Hum se kya ho saka mohabat mein..

Hum se kya ho saka mohabat mein,

Tum ne to kher bewafaayi ki..f



Band pinjron mein parindon ko dekha kabhi..

Band pinjron mein parindon ko dekha kabhi,

Aese sisaktey hain mohabbat ke mujrim aksar..



Chupaaye dil mein ajab sa ghubaar bethe hain..

Chupaaye dil mein ajab sa ghubaar bethe hain,

Najane kese tassawur mein yaar bethe hain,


Luttaa chuke hain murawwat mein zindagi apni,

Tere liye to anaa ko bhi maar bethe hain..



Tuesday, 4 February 2014

Itni shiddat se yaad aye ho..

Itni shiddat se yaad aye ho,

Jese phir yaad hi nahin aana..



Guzar hi jayen gi furqat ki yeh karri ratain..

Guzar hi jayen gi furqat ki yeh karri ratain,

Jo tu nahin, na sahi, tera intezaar to hai..



Rivaaj to yehi hai duniya ka, mil jana bicharr jana..

Rivaaj to yehi hai duniya ka, mil jana bicharr jana,

Tum se yeh kaisa rishta hai, miltay ho na bicharrtay ho..



Monday, 3 February 2014

Majrooh jis se dil hi nahin..

Majrooh* jis se dil hi nahin, rooh tak huye,

Woh teer itifaaq se ik ashnaa ka tha..


(majrooh;hurt)



Aik baat bohat talkh kahi thi us ne..

aikbaatbohattalkhhh_8767_1234_temp

Woh aik baat bohat talkh kahi thi us ne,

Baat to yaad naheen, Yaad hai lehjaa us ka..



Woh mera tarrapna dil lagi samjhen..

Khuda ki shaan woh mera tarrapna dil lagi samjhen,

Kissi ki jaan jaati hai, kisi ka dil behelta hai..



Sunday, 2 February 2014

Ja bicharr ja magar khayaal rahe..

Ja bicharr ja magar khayaal rahe,

Yeh na ho umar bhar malaal rahe..



Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha..

Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,

Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa…


Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha,

Unke yun ruth jaanese malaal hai kaisa,


Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,

Aankho me mere yaar ki kamaal hai kaisa,


Sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,

Hai koi kisi ka nahi ye saal hai kaisa,


Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,

Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa,


Murdey ki akarr deta hai zindon ko kayi baar,

Karta hai amiron ko aseer ye maal hai kaisa,


Me to shikaar unke khayalon ka hun ‘Anees’,

Wajood me unke nihaa.n ye jaal ye kaisa,



Anees Haider



Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey..

utreychehrey

Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey,

Tere jaaney se gulistaan pe hizaa’n chaayi hai..



Saturday, 1 February 2014

Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh..

Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh,

Aqal ka bojh uthaa nahin saktaa..



Ab mujh se in ankhon ki hifaazat nahin hoti..

Ab mujh se in ankhon ki hifaazat nahin hoti,

Ab mujh se tere khawb sambhaaley nahin jatey..



Uski baatein theen riwayat se hatt kar..

Uski baatein theen riwayat se hatt kar,

Sab me rehta tha magar sab se judaa tha..