Kitaab, qalam, soch, sabhi mere hain takreeban,
Jo likhe hain mene, woh khayaal tere hain..
Tuesday, 31 December 2013
Kitaab, qalam, soch, sabhi mere hain..
Usey barish pasand hai, Mujhe barish mein woh..
Usey barish pasand hai,
Mujhe barish mein woh,
Usey to pasand hai,
Hanstey rehna,
Mujhe hanstey huye woh,
Usey to pasand hai
Boltey rehna,
Mujhe boltey huye woh,
Usey to pasand hain
Duniyaa ki saari neymtain,
Aur mujhe sirf woh…
Monday, 30 December 2013
Kalaayi na pakrra karo..
Kalaayi na pakrra karo, Na hi paas aya karo,
Baat choorriyon ki nahin, jazbaat machal jatey hain..
Khawb mein bhi woh ab nahin atey..
Khawb mein bhi woh ab nahin atey,
Shikaayeten in dino urooj per hain..
Wohi jo kehta tha ishq mein kya rakha hai..
Wohi jo kehta tha ishq mein kya rakha hai,
Ek heer ne usey ranjhaa bana rakha hai..
Yeh jo sab khod rahe hain zameen mere liye..
Yeh jo sab khod* rahe hain zameen mere liye,
Mein jee uthoon to kahin bhi jagha nahin dein ge..
(khod;dig)
Yeh kab kaha tha nazaaron se khof ata hai..
Yeh kab kaha tha nazaaron se khof ata hai,
Mujhe to chaand sitaaron se khof ata hai..
Aaayiney ko bhi khairat mein daal deta hai..
Woh aayiney ko bhi khairat mein daal deta hai,
Kisi kisi ko khudaa yeh kamaal deta hai..
Sunday, 29 December 2013
Taqaaza hai ke lab hi see betho..
Yeh maslahat ka taqaaza hai ke lab hi see betho,
Jo sach kaho ge, zamaaney se dushmani ho gi..
Zaahir kisi pe na apne halaat kijiye..
Zaahir kisi pe na apne halaat ki jiye,
Jese bhi ho sake, bassar aukaat ki jiye..
Mein sajaaon kis liye deewar-o-dar..
Mein sajaaon kis liye deewar-o-dar,
Mere ghar jab koi ata hi nahin..
Main zamaaney me badnaam is liye hoon..
Main zamaaney me badnaam faqat is liye hoon,
Mujhe logon ki tarah badal jana nahin aata..
Saturday, 28 December 2013
Mujhe khamosh rehne do..
Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..
Chupke se december ne yeh sargoshi ki..
Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..
Kyaa kyaa naa khoj main lagaya idhar udhar..
Kyaa kyaa naa khoj main lagaya idhar udhar,
Ghar main kabhi bhi khud ko na paya idhar udhar..
Kaati kahin pe raat, to kaati sehar kahin..
Kaati kahin pe raat, to kaati sehar kahin,
Raah-e-wafaa mein chain na paaya magar kahin,
Woh sun rahe hain yun tera afsaana-e-hayaat,
Dil hai kahin, khayal kahin, aur nazar kahin,
Manzil kareeb aye to aye dost kis tarah,
Raahi kahin hai, raah kahin, rehber kahin,
Dil main panap rahi hai yehi ik arzoo,
Betaab, hum ko koi milay humsafar kahin..
Betaab Dehlvi
Tanhaa chand ko dekha tha mene khawb mein..
Kal raat tanhaa chand ko dekha tha mene khawb mein,
Mohsin, mujhe raas aaye gi shayed sada’aa awaargi…
Friday, 27 December 2013
Us ki chahat ka bharam kya rakhna..
Us ki chahat ka bharam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,
Hanss bhi lena kabhi khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna..
Yoon lag raha hai jese abhi laut aaye ga..
Yoon lag raha hai jese abhi laut aaye ga,
Jaatey huye chiraagh bhujaa kar nahin geya..
Roz pilaata hoon usey zeher ka peyaala..
Mein roz pilaata hoon usey zeher ka peyaala,
Ek dard jo andar hai, martaa hi naheen..
Shaam hi se bhujaa sa rehtaaa hai..
Shaam hi se bhujaa sa rehtaaa hai,
Dil hua hai chiraagh mufliss ka..
Ab kisi darwazey pe dastak de doon..
Jee main hai ab kisi darwazey pe dastak de doon,
Aur phir poochon ke aye shakhss “mera ghar hai yehi”?..
Thursday, 26 December 2013
Mushkil hua hai rehna humain is deyaar mein..
Mushkil hua hai rehna humain is deyaar mein,
Barson yahan rahe hain, yeh apna nahin hua..
Bharey sheher mein tanhaayi ki batain..
Pheli theen bharey sheher mein tanhaayi ki batain,
Shayed koi deewar ke peechey bhi kharra thaa..
Meri tanhaaiyon se koi aa Abid koi to puchey..
Meri tanhaaiyon se aa ke Abid koi to puchey,
Kabhi jab chand pura ho, samandar cheekhta kyun hai..
Abid Gondal
Wednesday, 25 December 2013
Mujhe wehshat hai ronaq se, Mujhe sunsan rehne do..
Jo tum ikhlaas chaho to,
Farishton se nibah kar lo,
Main aadam ki nishani hon,
Mujhe insaan rehne do,
Tumhari keh-kashaaon mein,
Meri koi jagah kab thi,
Main ek ujrra jazeera hoon,
Mujhe veeran rehne do,
Jo hota hai wohi karna,
Na badlo rasm dunia ki,
Wo tum thy ya koi apna,
Mujhe hairaan rehne do,
Mera dil yoon shikasta hai,
Koi ujrra sa mandir ho,
Mujhe wehshat hai ronaq se,
Mujhe sunsan rehne do,
Khuda ke kaar-khaany mein,
Bura kuch bhi nahi hota,
Khudara hosh me aao,
Koi imkaan rehne do..
Tu ne ik baar jo sardi ke sabab orrhi thi..
Tu ne ik baar jo sardi ke sabab orrhi thi,
Meri almaari mein abi woh shawl zinda hai..
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar..
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,
Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah..
Dil-e-nadaan zara mohtaaat rehna..
Dil-e-nadaan zara mohtaaat rehna,
Mohabbat bhi tijaarat ho gayi hai..
Tuesday, 24 December 2013
Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho..
Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho,
Mujhe talash hai uski jo mere jaisa ho,
Jo khwaab dene ko qadir ho meri aankhon ko,
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho,
Meri khatir marne ka hosla bhi rakhta ho,
Koi bhi ho, Kahi bhi ho, Bas aisa ho,
Agar kabhi rooth jaoon mein us se to,
Muskrake manaye, woh aisa ho,
Jo baat kare to woh nibha bhi sake,
Iradon mein woh apne, chattanon jaisa ho..
Zara thakan nahin tum ko, kahin qayaam nahin..
Zara thakan nahin tum ko, kahin qayaam nahin,
Gham-e-daraaz, tumhe aur koi kaam nahin ..
Mein jaha rehta hoon, ghar koi nahin..
Mein jahan rehta hoon, ghar koi nahin,
Dasht hi dasht hai, dar koi nahin..
Choom rahi hain awaazen shehnayi ki..
Sanaatton ko choom rahi hain awaazen shehnayi ki,
Chupke chupke chaat rahi hai aag mujhe tanhaayi ki..
Monday, 23 December 2013
Bhool jaaon to jee nahin sakta..
Bhool jaaon to jee nahin sakta,
Yaad aao to dam nikalta hai..
Jab se mere yaar ne badli hai hakoomat..
Jab se mere yaar ne badli hai hakoomat,
Mere dil ki mayishat* ka bura haal hua hai..
(mayishat:economy)
Pat’jharr sa lage ga mujhe tanhaai ka mausam..
Pat’jharr* sa lage ga mujhe tanhaai ka mausam,
Ab ke bhi guzar jaaye ga ruswaayi ka mausam..
(Pat’jharr;autumn)
Shaheeh Badar
Pucho to aik aik hai tanhaa sulagg raha..
Pucho to aik aik hai tanhaa sulagg raha,
Dekho to sheher sheher hai melaa laga hua..
Wohi hai tere gham ki kar’farmaayi..
Wohi main hoon, wohi hai tere gham ki kar’farmaayi*,
Kabhi tanhaai mein mehfil, kabhi mehfil mein tanhaayi..
(kar’farmaayi;blessing)
Sunday, 22 December 2013
Chupke chupke dukh sehtaa hoon..
Chupke chupke dukh sehtaa hoon,
Ab mein aksar khush rehta hoon..
Mein jo sard hathon se choota tha..
Mein jo sard hathon se choota tha tera gaalon ko,
Yaad ayegi tujhe december mein shararat meri..
Saturday, 21 December 2013
Tera pehlu, tere dil ki tarah abaad rahe..
Tera pehlu, tere dil ki tarah abaad rahe,
Tujh pe guzrey na qayamat shab-e-tanhai ki..q
Phir wohi raat, wohi hum, wohi tanhaai hai..
Phir wohi raat, wohi hum, wohi tanhaai hai,
Phir har ik chott mohabbat ki ubhar aayi hai..
Friday, 20 December 2013
Jahan dekha kisi ke sath dekha..
Jahan dekha kisi ke sath dekha,
Kahin hum ne tujhe tanhaa na paya..
Ghar mein bhi tanhaa tha mein..
Band tha darwaaza bhi aur ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Tu ne kuch mujh se bola tha ya aap hi bola tha mein ..
Thursday, 19 December 2013
Tanhaayiyon se khud ko bachaana parra mujhe..
Tanhaayiyon se khud ko bachaana parra mujhe,
Yaadon ka aik sheher basaana parra mujhe..
Saad Ullah Shah
Tanhayi mein jo baat bhi karta nahin puri..
Tanhayi mein jo baat bhi karta nahin puri,
Takreeb mein mil jaye to be-baak* bohat hai..
be-baak;fearless
Kuch na hua haasil humain..
Kuch na hua haasil humain,
Aik muddat tere deewaney rahe..
Wednesday, 18 December 2013
Ishq to ab khel hua berozgar nojwaani ka..
Ishq to ab khel hua berozgar nojwaani ka,
Lagi naukri na to chalo dil hi sahi..
Aankh se gehraa hai meri rooh ka zakhm..
Aap ki aankh se gehraa hai meri rooh ka zakhm,
Aap kya sochen ge, meri shab-e-tanhaai ko..
Tuesday, 17 December 2013
Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi..
Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi,
Nahin ishq karta assar bethey bethey..
Azeeyat jo dil ko deta hai musalsal..
Azeeyat jo dil ko deta hai musalsal,
Meri ankhon se chehra woh hattaaa do..
Monday, 16 December 2013
Yaadon ka bikhra hua malba hi to hai..
Ab wahan yaadon ka bikhra hua malba* hi to hai,
Jiss jagha ishq ne bunyaad-e-makaan rakhi thi..
(malba;worthless material)
Zara si zindagi hai armaan bahut hain..
Zara si zindagi hai armaan bahut hain,
Humdard nahi koi, insan bohat hain,
Dil ka dard sunaye to sunaye kisko,
Jo dil ke kareeb hain wo anjaan bahut hain..
Hum ko aik jagha araam kahan..
Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan,
Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan..
Buri nahin hai awaargi..
Zafar buri nahin hai awaargi, magar phir bhi,
Kabhi idhar se guzro to ghar bhi aa jana..
Sunday, 15 December 2013
Tamaam umar ki awaargi pe bhaari hai..
Tamaam umar ki awaargi pe bhaari hai,
Woh ik shab jo teri yaad mein guzaari hai..
Main un se kar raha tha tassawur mein guftgu..
Main un se kar raha tha tassawur mein guftgu,
Duniyaa samajh rahi thi mein deewaana ho geya..
Saturday, 14 December 2013
Meri deewangi nahin jaati..
Meri deewangi nahin jaati,
Ro raha hoon hansi nahin jati..
Friday, 13 December 2013
Tabeer se mehroom mere khawb bohat they..
Tabeer se mehroom mere khawb bohat they,
Saada si kahani, magar baab bohat they..
Shayed yeh zamana unhe poojney lage..
Shayed yeh zamana unhe poojney lage,
Kuch log to is liye pathar hi ho gaye..
Duniya ki nazren thin mujh pe..
Ibtidaa-e-ishq mein duniya ki nazren thin mujh pe,
Intehaa yeh hai ke tu ne bhi na pehchaana mujhe..
Mazhar Imam
Thursday, 12 December 2013
Bohat mushkil se hoti hai tijaarat yaadon ki…
Bohat mushkil se hoti hai tijaarat yaadon ki,
Munaafa kam sahi, guzaara ho hi jaata hai..
Ishq per zor nahin, yeh woh aatish..
Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bujhayy..
Azeeyat, museebat, mulaamat, duaayein..
Azeeyat, museebat, mulaamat, duaayein,
Tere ishq mein hum ne kya kya na dekha..
Sakht kaafir tha, jis ne pehle..
Sakht kaafir tha, jis ne pehle “Mir”,
Mazhab-e-ishq ikhteyaar kiya..
Jo hukm deta hai woh ilteja bhi karta hai…
Jo hukm deta hai woh ilteja bhi karta hai,
Yeh aasmaan kahi par jhuka bhi karta hai,
Mein apni haar pe nadim hoon is yaqeen ke saath
Ke apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai.
Tu bewafa hai to le ek buri khabar bhi sun le,
Ke intezar mera koi doosra bhi karta hai.
Haseen logon se milne par aitraaz na kar,
Yeh jurm woh hai jo shaadi shuda bhi karta hai..
Ishq karna hai to phir ishq ki toheen na kar..
Ishq karna hai to phir ishq ki toheen na kar,
Ya to behosh na ho, ho to phir hosh na kar..
Wednesday, 11 December 2013
Yakeen us ko aata nahin, Wazaahat mein nahin karta..
Yakeen us ko aata nahin, Wazaahat mein nahin karta,
Guzar jaye gi umar shayed, imtehaanon mein..
Aaj to hum ko paagal keh lo..
Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo,
Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge..
Ibn e Insha
Tuesday, 10 December 2013
Jis ko meri zindagi mein ana tha..
Woh shakhss jis ko meri zindagi mein ana tha,
Suna hai us ka taaqub mein zamaana tha..
Monday, 9 December 2013
Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main..
Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,
Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,
Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,
Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,
Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,
Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,
Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,
Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,
Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,
Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,
Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,
Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main..
Mujhsa koi duniya mein nadaan bhi na ho..
Mujhsa koi duniya mein nadaan bhi na ho,
Karke jo ishq kehta hai nuqsaan bhi na ho..
Saad ullah shah
Dil ko us raah per chalna hi nahin..
Dil ko us raah per chalna hi nahin,
Jo tujh ko mujh se juda karti hai..
Sunday, 8 December 2013
Apni ankhon ko noch daloon ga..
Apni ankhon ko noch daloon ga,
Khawb aya jo phir mohababt ka..
Saturday, 7 December 2013
Ab kya likhen hm kaghaz per..
Ab kya likhen hm kaghaz per,
Ab likhne ko kya baqi hai,
Ek dil tha wo toot geya,
Ab tootne ko kya baqi hai?
Ek shaks ko hm ne chaha tha,
Ek rait pe naqsh bnaya tha,
Wo rait to kab ki bikhar gayi,
Wo naqsh kahan ab baqi hai,
Lafzon ka bana ker taj mehel,
Kaghz pe sjaya karte thy,
Wo hm ko akela chor geya,
Sb rishton se munh mor geya,
Ab rasty sarey sooney hain,
Wo pyar kahan ab baqi hai,
Ab kya likhen hm kaghaz per,
Ab likhne ko kya baqi hai…!!
Friday, 6 December 2013
Mujh ko kisi pe toot ke marney nahin diya…
Mujh ko kisi pe toot ke marney nahin diya,
Duniya ne dhangg se ishq bhi karne nahin diya..
Zarrey zarrey se nikalti thin ajab awaazain..
Zarrey zarrey se nikalti thin ajab awaazain,
Sab se larrney ke liye ishq akela niklaa..
Thursday, 5 December 2013
Mein kisi kaam ka nahin warna..
Mein kisi kaam ka nahin warna,
Woh kisi kaam se hi aa jata..
Mujhe ab farq nahin parta..
Mujhe ab farq nahin parta, december ke beet janey ka,
Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kya matlab..
Har roz ke nit naye bahaney..
Har roz ke nit naye bahaney,
Ab maan bhi jao, badal gaye tum..
Wednesday, 4 December 2013
Mein nikla sheher ko..
Mein nikla sheher ko,
Shaam mein,
dil mein kuch armaan they,
Ik tarf
sabzz jhaarriyaan,
Ik tarf
tootay qabristan they,
Paaon taley,
Ik haddi parri,
Jis ke yeh beyaan they,
Sambhal kar chal,
Aye chalney waley,
Kabhi hum bhi,
Insaan they..
Tuesday, 3 December 2013
Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi..
Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi,
Aaj pat-jharr mein, baharon ki bohat yad aayi,
Jab larkhraata hua nikla, kabhi mehkhaney se,
Teri baahon ke sahaaron ki, bohat yaad aayi,
Jab bhi ponchhe hain, haathön se ye aansu apne,
Teray daaman ke kinaron ki, bohat yaad aayi,
Aaj iss ujray huye sheher me, mohsin humko,
Apnay bichray huye yaaron ki, bohat yaad aayi..
Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam..
Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,
Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..
Monday, 2 December 2013
Chot taaza hay magar, Zakham purany apny..
Chot taaza hay magar,
Zakham purany apny,
Kitnay mushkil hain yahan,
Dard chupany apny,
Jin ko hum yaad karein,
Hum unhein yaad nahi,
Kaisy hotey hein yahan log,
Na janay apnay,
Kitna chaha hay tujhy,
Ye to hum hi janty hein,
SSa-khuda,
Itny nahi thy kabhi,
Deewany apny,
Har jaga shor,
Meray ishq ki ruswai ka,
Kitny mash’hoor hain,
Chahat k fasany apny,
Ek teri yaad sy,
Daman ko bachaney ke liye,
Kitny badley hain yahan main ny,
Thikaanay apnay…
Uljhi nigaahon ne musalsal mujhe dekhta raha..
Uljhi nigaahon ne musalsal mujhe dekhta raha,
Aayiney mein kharra shakhss pareshan bohat tha..
Sunday, 1 December 2013
Hijar ke maaron pe qayamat hai december..
Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar,
Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..
December ageya jaana..
December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,
Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,
Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana….
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..