Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..
Saturday, 30 November 2013
Yaad dilaata hai sardd mausam..
Aawargi mei mohsin is ko b hunar jana..
Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…
Thursday, 28 November 2013
Aye dil tu unhe dekh kar kuch aese tarrapna..
Aye dil tu unhe dekh kar kuch aese tarrapna,
Aa jaye hansi un ko jo bethe hain khafaa se..
Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon..
Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon,
Kya yeh kam hai ke us se mansoob hoon..
Baba Bulleh Shah
Wednesday, 27 November 2013
Yeh keisa khawb tha jhatka sa laga dil ko..
Yeh keisa khawb tha jhatka sa laga dil ko,
Ke ek shakhss pareshaan tha meri talaash mein..
Tuesday, 26 November 2013
Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,..
Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,
Kuch ham bhi thora sust chaly,
Kuch ham hi apny dushman thy,
Kuch dushman ham ko boht mily,
Kuch ham manzil ko bhool gay,
Kuch rasty ham ko sakht mily,
Aur aaj ye apni halat hai,
Har simt andhera chaya hai,
Har simt hai chaayi veerani,
Har simat isi ka saya hai,
Is dasht main ham ny kya khoya,
Is raah main ham ny kia paya,
Jab main ny is par ghor kia,
To man main soch ka dip jala,
Ik aag si dil main bharrak uthi,
Aur aankh main pani bharr aaya..
Kaheen aur bhi ho jaaon naa raiza raiza..
Kaheen aur bhi ho jaaon naa raiza raiza,
Aisa toota hoon ke jurrty huye darr lagta hai…
Allah bachaaye marz e ishq se dil ko..
Allah bachaaye marz e ishq se dil ko,
Suntey hain ke yeh aarza acha nahi hota..
Akbar-Ulah Abadi
Sunday, 24 November 2013
Usey apna bananey ki zid mein..
Usey apna bananey ki zid mein,
Apne bhi paraaye kiye hum ne..
Saturday, 23 November 2013
Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa..
Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa,
Tere hotey huye sab ka dilaasa dena..
Friday, 22 November 2013
Shaam hotey hi nigahon mein utar atey ho..
Shaam hotey hi nigahon mein utar atey ho,
Dharrkan tere pairo’n ki dhamak lagti hai..
Thursday, 21 November 2013
Hijr ki raat guzarti hi nahin..
Hijr ki raat guzarti hi nahin,
Waqt ki aaankh lagi ho jaisey..
Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,,
Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,
Lutt jaye kahin raah mein samaan kisi ka..
Bahadur Shah Zafar
Meri mushkil ka hall koi nahin hai..
Meri mushkil ka hall koi nahin hai,
Tera naim-ul-badal* koi nahin hain..
(naim-ul-badal;alternative)
Wednesday, 20 November 2013
Shoq kehta hai usey dekh to lo..
Shoq kehta hai usey dekh to lo hamraah-e-ghair,
Rashqq kehta hai mujhe kabb yeh gawaara ho ga..
Mere hamsafar, mere saayeba’n..
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Meri zindagi, mera kul jahan,
Hain raah hayaat ke silsley,
Kabhi furqtain, kabhi faasley,
Rahen tere sath rawaa’n dawaa’n,
Mere karwaan, mere kaafley,
Tu hi ru’bru, tu hi hai nihaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Teri mulaqaat ki khawhishen,
Teri aarzuu, teri chahtein,
Shab-o-roz teri justujuu,
Tujhe dhoondti phiroon ku’bkuu,
Tu mera yakeen, to kaheen gumaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n..
Tuesday, 19 November 2013
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai..
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai,
Teyy kar raha hai jo tu do din ka woh safar hai..
Sangsaari ki sazaa hai manzoor mujh ko..
Sangsaari* ki sazaa hai manzoor mujh ko,
Hath jiss ke na hon alooda* woh pathar marey..
(sangsaari;throwing stones, alooda;dirty)
Monday, 18 November 2013
Tumhari misaal, Na-mumkin hai..
Tumhari Misaal, Na-Mumkin Hai,
Tumhara Akss Bhi, Tum Sa Nahi.
Mujh se mujh ko judaa kia tu ne..
Mujh se mujh ko judaa kia tu ne,
Mera ban ke yeh kya Kiya tu ne..
Sunday, 17 November 2013
Us ka ishq chaand jesa tha…
Us ka ishq chaand jesa tha,
Pura hua to ghattney laga..
Umar beet jati hai ik ghar bananey mein..
Umar beet jati hai ik ghar bananey mein,
Log aah nahin kartey bastiyan jalaney mein..
Meri tanhayi ko mera shoq mat samajhna..
Meri tanhayi ko mera shoq mat samajhna,
Bohat pyar se diya hai yeh tohfa kisi ne..
Saturday, 16 November 2013
Jis ne bhi bura haal bana rakha hai..
Ishq mein jis ne bhi bura haal bana rakha hai,
So wohi kehta hai “ajee is mein kya rakha hai”..
Un ko gharoor-e-hussn hai..
Un ko gharoor-e-hussn hai, mujh ko gharoor-e-ishq,
Woh bhi nashy mein choor hain, mein bhi piye huye..
Friday, 15 November 2013
Is Qadar Roya Main Sun ke Dastan-E-Karbala..
Is Qadar Roya Main Sun k Dastan-E-Karbala,
Main To Hindu Hi Raha, Aankhein Hussaini Ho Gayin…
Rajinder Kumar
Thursday, 14 November 2013
Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain..
Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain,
Chiraag-e-noh bashar ke tarey hain Hussain,
Insaan ko baidaar to ho lene do zara tum,
Har qaum pukaarey gi hamarey hain Hussain..
Husn walo, tumhari bhi kya baat hai..
Husn walo, tumhari bhi kya baat hai,
Har mulaqat pehli mulaqaat hai..
Hussn wohi hai hussn jo zalim..
Hussn wohi hai hussn jo zalim,
Hath lagaaye hath na aaye..
Tuesday, 12 November 2013
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha..
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
Aao husn-e-yaar ki baten karen..
Aao husn-e-yaar ki baten karen,
Zulf ki, rukhsaar ki baten karen..
Monday, 11 November 2013
Puchtey hain kya hua dil ko..
Puchtey hain kya hua dil ko,
Husn walon ki saadgi na gayi..
Saturday, 9 November 2013
Tujhe rozz dekhoon kareeb se..
Tujhe rozz dekhoon kareeb se,
Mere shauq kitney ajeeb se..
Friday, 8 November 2013
Qareeb itna wo kuch dinon se aa gya hai..
Qareeb itna wo kuch dinon se aa gya hai,
K us se rabta toota hua hy kuch dinon se…
Thursday, 7 November 2013
Kuch haar gayi takdeer kuch toot gaye sapney..
Kuch haar gayi takdeer kuch toot gaye sapney,
Kuch ghairon ne kiya barbaad, kuch chorr gaye apne..
Monday, 4 November 2013
Kaho agar to bhulaa doon tum ko..
Kaho agar to bhula doon tum ko,
Sab kuch bataa kar rulaa doon tum ko,
Bohat dushwaar guzrey ga mujh per,
Kaho agar to sazaa doon khud ko,
Kyun ab roz roz ka rona rahe aakhir,
Aj hi kyun na mitaa doon dukh ko,
Kaho agar to bhulaa doon tum ko..
Saturday, 2 November 2013
Husn waley husn ka anjaam sekh dekh..
Husn waley husn ka anjaam sekh dekh,
Doobtey suraj ko waqt-e-shaam dekh..