Teri zaat ke shajar se yun mera chaman raha,
Wo be-samar shajar magar Saaya Ifgan raha,
Tera mizaaj waqti taqazo’n pe munhasir,
Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha,
Ye medaan jahan aaj kal hy hashr ka smaa’n,
Ik dor mein kbhi tha kitna pur-aman raha,
An ginat silwaten ab tak hain par chuke’n,
Rishta hmara phir bhi hy ke be-shikan raha,
Atraaf-o-jawaanib toh mere pur-sukoon thy,
Dil tha ke jis me jalta shola-e-agan raha,
Thaama gulaab ko jo, phir toh chhor na sakay,
Umr bhr kaanto’n se yun rbt-e-chubhan raha,
Alfaaz bhi na kar sakay akaasi-e-mizaaj,
Ksh-ma-ksh me hr ghari mera hm-sukhan raha,
Mujrim qaraar de ke baa-izzat bari kiya,
Teri adaalato’n me bhi ajab ziman raha,
Be-misl khataao’n mein hun agarchy mein ‘Saadi’,
Zamana misaal de magar esa chalan raha..
(Saaya ifgun:hifaazat krny wala, Be-shikan:bagher kisi bal ke, Ziman:Qanoon)
Sadia Shakil
0 comments:
Post a Comment