Thursday, 12 September 2013

Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ..

Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ,


Main aj apni mohabat ko aazmana chahta hon ,


Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,


Main yeh baat duniya walon ko btana chahta hon ,


Teri zaat ki mehroomiyan tera man ki yeh udaasiyan ,


Mujhy moka to dy main inhay mitaana chahta hon ,


Tere hath mera rehbar tere naksh paa meri manzil k


Tujhay main chillchilate dhoop main aanchal bnana chahta hon ,


cheen lo saharay mujh sy apnay piyaaray saray mujh sy


Bs do hosla mujhay main khud ko manvana chahta hon ,


poocha jo yaaro nay muskurahat ka sbab


to kehnay lga awais main hansi k pardy main dard apna chupana chahta hoon….



Related Posts:

0 comments:

Post a Comment