Kyun dil ko liye bethey ho,
Ishq naslein ujaarr betha hai..
Friday, 31 January 2014
Kyun dil ko liye bethey ho..
Mohabbat ab tijarat ban gai hai..
Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai,
Kisi se khelna phir chor dena,
Khilaono ki tarha dil tor dena,
Haseeno ki ye adat ban gai hai,
Kabhi tha naam iska bewafai,
Magar ab aaj kal behayaai,
Sharifon ki sharafat ban gai hai,
Kisi mandir ki moorat thi kabhi ye,
Bari khoobsurat thi kabhi ye,
Magar kya iski soorat ban gai hai,
Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai..
Hum ne to khud se intiqaam liya..
Hum ne to khud se intiqaam liya,
Tum ne kya soch kar mohabbat ki ?
Thursday, 30 January 2014
Na tarrapne ki ijaazat hai na faryaad ki hai..
Na tarrapne ki ijaazat hai na faryaad ki hai,
Ghuutt ke mar jaaon yeh marzi mere seyaad ki hai..
Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil..
Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil,
Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey..
Wednesday, 29 January 2014
Charrhti theen aik mizaar pe chaadren..
Charrhti theen aik mizaar pe chaadren beshumaar,
Baaher betha aik faqeer sardi se mar geyaa..
Tuesday, 28 January 2014
Kaun kehta hai ke ishq ghamgeen hai..
Kaun kehta hai ke ishq ghamgeen hai,
Agar Ho wafaa to zindagi haseen hai..
Meine khud ko bhi faramosh kiya tere liye..
Meine khud ko bhi faramosh kiya tere liye,
Aam hai sara jahan, khaas hai tu mere liye..
Monday, 27 January 2014
Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar..
Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar-e-mohabat,
Kahin chahtein bik rahi hain kahin log badal rahe hain..
Aaney ke waqt tum to kahin rahe..
Aaney ke waqt tum to kahin ke kahin rahe,
Ab aye tum to fayda! hum hi nahin rahe..
Sunday, 26 January 2014
Un ke khat ki arzu hai..
Un ke khat ki arzu hai, un ki aamad ka khayal,
Kiss qadar phaila hai karobaar-e-intezaar..
Haadsey bhi shaoor rakhtey hain..
Haadsey bhi shaoor rakhtey hain,
Dhoond lete hain gham ke maron ko..
Mein intezaar ka qaayel na tha magar tu ne..
Mein intezaar ka qaayel na tha magar tu ne,
Lagaa diya mujhe deewaar se gharri ki tarah..
Saturday, 25 January 2014
Umar-e-daraaz maang ke laaye they.
Umar-e-daraaz maang ke laaye they chaar din,
Do aarzu mein katt gaye do intizaar mein..
Bahadur Shah Zafar
Teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin.
Jo teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..
Ek masoom si dua hai inn labon pe..
Ek masoom si dua hai inn labon pe,
Koi kuch bhi karay mohabbat ke siwaa..
Friday, 24 January 2014
Marhale shoq ke dushwaar hua karte hain..
Marhale shoq ke dushwaar hua karte hain,
Saaye bhi raah ki diwaar hua karte hain,
Wo jo sach bolte rehne ki kasam khaate hain,
Wo adaalat mein gunaah-gaar hua karte hain,
Sirf haathon ko na dekho kabhi aakhen bhi parho,
Kuchh sawaali bade khuddaar hua karte hain,
Wo jo pathar yuunhi raste mein pade rehte hain,
Un ke seene mein bhi shaah-kaar howa karte hain..
Ab to agey naam tumhara bhi aaye ga..
Ab to agey naam tumhara bhi aaye ga,
Kaho to chorr doon yahin fasaaney ko..
Thursday, 23 January 2014
Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne..
Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne dolat se,
Hum ghareebon ki mohabbat ka mazaq urraya hai..
Yunhi umeed dilatey hain zamaney waley..
Bas yunhi umeed dilatey hain zamaney waley,
Laut kar to naheen aatey hain jaaney waley,
Mohabbat to lagti hai bheek ki maanind,
Khud hi nibhaatey hain nibhaney waley,
Kya zulm ka manzar hai ya khawb hai yeh,
Afsos bhi karte hain ghar jalaney waley..
Wednesday, 22 January 2014
Hum pe naazil hua hai ishq aese..
Hum pe naazil hua hai ishq aese,
Jese qoamon pe azaab aata hai..
Tuesday, 21 January 2014
Khamoshi me bassar ho jaye..
Zabt kehta hai khamoshi me bassar ho jaye,
Dard ki zidd hai duniya ko khabar ho jaye..
Vaada kar lete hain nibhaana bhool jatey hain..
Vaada kar lete hain nibhaana bhool jatey hain,
Laga kar dil mein aag bhujaana bhool jatey hain,
Mein to khoob tayaari karti hoon sab sajaaa kar,
Magar woh ain’waqt per aana bhool jatey hain,
Main jo yaad kar loon jawaab sab sawaalon ke,
Imtihaan nahin lete aazmaana bhool jatey hain..
Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha..
Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha,
Mein raah dekhti rahi woh raasta badal geya..
Jo likho kabi tareekh wafaa ki..
Mujhe bhi yaad rakhna jo likho kabi tareekh wafaa ki,
Mene bhi lutaaya hai mohabbat main sakoon apna..
Monday, 20 January 2014
Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri..
Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo atey guzri,
Din jo guzraa to kisi yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri..
Mohabbat bheek hai shayed..
Mohabbat bheek hai shayed,
Bari mushkil se milti hai..
Sharminda meri rooh ki sachayiyan huin..
Sharminda meri rooh ki sachayiyan huin,
Tabsraa woh zameer ne kirdaar per kiya..
Sunday, 19 January 2014
Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se..
Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se,
Ye woh wafaat hai jis ki khabar nahi hoti..
Wafaa ki arzuu karna..
Wafaa ki arzuu karna, saffar ki justujuu karna,
Jo tum mayuus ho jao, to mujhse guftguu karna..
Woh mujhe zindagi samajhta hai..
Woh mujhe zindagi samajhta hai,
Kya usey mera aitbaar naheen..
Saturday, 18 January 2014
Un ki raatain katein gi kese..
Un ki raatain katein gi kese,
Jin pe naazil ishq hua hai..
Roz aamil badalta hoon..
Roz aamil badalta hoon,
Tera aasaib magar nahi jata..
Dard ho dil mein to dua kijiye..
Dard ho dil mein to dua kijiye,
Dil hi jab dard ho to kya kijiye..
Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..
Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…
Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai..
Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai meri,
Ke dil mein hain kis qadar daagh-e-hijraan dekhte jao..
Zauq Qureshi
Mujhe bhi toot jana tha….
Woh pathar tha jese aur mein sheeshay ki maanind,
Usey thokar lagana thi, mujhe bhi toot jana tha..
Friday, 17 January 2014
Hijar ki raat kaatney waley..
Hijar ki raat kaatney waley,
Kya karega agar sehar na hui..
Aziz Meerthi
Kya ghazab hai ke us ki khamoshi..
Kya ghazab hai ke us ki khamoshi,
Mujh se baatain hazaar karti hai..
Thursday, 16 January 2014
Tumhari ankh ka aansu, Hamari ankh se niklaa..
Tumhari ankh ka aansu,
Hamari ankh se niklaa,
Shikayat ab bhi hai tumko,
Mohabbat hum nahin kartey..
Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron..
Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein,
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..
Wednesday, 15 January 2014
Aik hi shakhs pe lutaa dete hain zindagi..
Aik hi shakhs pe lutaa dete hain jo zindagi apni,
Aese log ab kitaabon mein mila kartey hain..
Khushbuu ki tarah sheher mein aye..
Roz khushbuu ki tarah sheher mein aye Aslam,
Roz sheeshey ki tarah toot ke ghar jata hai..
Aslam Kolsri
Tum se bereham pe marney se…
Kya sunaatey ho ke hai hijar mein jeena mushkil,
Tum se bereham pe marney se to asaan ho ga..
Momin
Tuesday, 14 January 2014
Nazron se dil ko nidhaal karte ho..
Yeh jo nazron se dil ko nidhaal karte ho,
Kartey to zulm ho magar kamaal karte ho..
Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi..
Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi,
Us ko rukhsat karke ghar lotay to andaaza hua..
Monday, 13 January 2014
Tere hijar main aur mujhe kya karna hai..
Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..
Shab-e-hijr mein soya kese..
Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..
De raha hai qatal ki dhamkiyaan..
Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan,
Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..
Maza ho jo mehshar me hum karen shikwa..
Bara maza ho jo mehshar* me hum karen shikwa,
Woh minnaton se kahen chup raho khuda ke liye..
(mehshar;qayamat,doomsday)
Sunday, 12 January 2014
Aao cherrain milaap ke qissay..
Aao cherrain milaap ke qissay,
Baat kartey ho kyun judaayi ki..
Yeh dard-e-dil na geya..
Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah,
Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain..
Saturday, 11 January 2014
Yoon bhi hua hai mere ghar mein..
Yoon bhi hua hai mere ghar mein,
Mein naheen hota, woh hota hai..
Khudaa mujhey itnaa to moatbar kar de..
Mere khudaa mujhey itnaa to moatbar* kar de,
Mein jis makaan mein rehta hoon usko ghar kar de..
(moatbar;respected)
Jo kabhi be’panaah chahta tha..
Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..
Tum raah mein chup chaap kharrey ho..
Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..
Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta..
Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..
Friday, 10 January 2014
Shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne..
Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne,
Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..
Teri dastak ke muntazir muddat se..
Teri dastak ke muntazir muddat se,
Deemak, darwaazey, tanhai aur mein..
Dil mein afsos, ankhon mein nami si rehti hai..
Dil mein afsos, ankhon mein nami si rehti hai,
Zindagi mein shayed koi kami si rehti hai,
Mujhe se rooth jatey hain aksar Wasi,
Shayed mere khuloor mein kami si rehti hai..
In me khatraa hai dooob jaaney ka..
In me khatraa hai dooob jaaney ka,
Jhaankiye mat janaab ankhon mein..
Thursday, 9 January 2014
Shikaayeten kitni hain tujh se..
Yeh na puch ke shikaayeten kitni hain tujh se,
Yeh bata ke tera aur koi sitam baaki to nahin..
Kuch bhi mujhe darkaar nahin hai..
Aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin,
Meri chaadar mere pairon ke baraabar kar de..
In se mat mil ke inhe rog hain..
Yeh jo sargashta se phirtey hain kitaabon waley,
In se mat mil ke inhe rog hain khawbon waley..
Wo larki shayad pagal thi..
Wo larki shayad pagal thi,
Din raat hi gumsum rehti thi,
Kuch sharm-o-haya ka paikar thi,
Kuch narm mizaj rakhti thi,
Ankhon mai neem nasha sa tha,
Baaton sy dewani lagti thi,
Humraz na tha uska koi,
Bass khuda sr baatein karti thi,
Ik shaam ke anchal mai aksar,
Jazbat chupaye rakhti thi,
Darti thy juda ho janey se,
Ya pyar se shayad darti thi,
Kya sabar tha us dewani ka,
Kya zabt-e-mohabat rakhti thi,
Hai rashk mujhy us pagal pe,
Kya khoob mohabat karti thi,
Wo larki shayad pagal thi,
Kya khoob mohabat karti thi..
Bewafaayi se be’niaazi tak..
Bewafaayi se be’niaazi tak,
Koi tohmat to us ke sar jaati..
Wednesday, 8 January 2014
Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai..
Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,
Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..
Karke waada, mukar geya aakhir..
Karke waada, mukar geya aakhir,
Tu bhi dil se, utar geya aakhir..
Tujh se bharr kar koi azaab nahi..
Tujh se bharr kar koi azaab nahi,
Aey ishq tera koi jawaab nahi..
Tuesday, 7 January 2014
Waqt taizi se hai nikal geya..
Waqt taizi se hai nikal geya,
Aur tum waqt se bhi taiz nikley..
Tum bin meri zaat adhoori..
Tum bin meri zaat adhoori, Jese koi baat adhoori,
Hijar ke saarey din poorey, Lekin hai har raat adhoori..
Nahin ishq ka dard lazzat se khaali..
Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..
Nahi hai ilaaj kisi bhi tabeeb ke paas..
Nahi hai ilaaj kisi bhi tabeeb ke paas,
Ishq la-ilaaj hai, bas ehtiyaat kijiye..
Lafzz kehne walon ka kuch nahin jata..
Lafzz kehne walon ka kuch nahin jata,
Lafzz sehney waley kamaal kartey hain..
Monday, 6 January 2014
Shor hai, hungaama araayi hai..
Shor hai, hungaama araayi hai,
Zindagi, tu kahaan le aayi hai,
Nafsa nafsi ka ajeeb aalam hai,
Bheerr hai, magar tanhaai hai..
Javed Iqbal Saghar
Pyar tha, mohabbat tha, ishq tha..
Pyar tha, mohabbat tha, ishq tha, adaa tha,
Wafaa bhi hoti to qayamat tha woh shakhss..
Kuch log bhi hum se rooth gaye..
Kuch khud bhi thy afsurda se,
Kuch log bhi hum se rooth gaye,
Kuch khud bhi zakhm k aadi thy,
Kuch sheeshy hath se toot gaye,
Kuch khud bhi thy hassas bohat,
Kuch apny muqaddr rooth gaye,
Kuch khud bhi itny mohtat na thy,
Kuch log bhi humko loot gaye,
Kuch talkh haqiqatyn theen itni,
Ke khwab hi sarey toot gaye..
Mein kisi kaam main masroof, Betha hota hoon..
Aksar aesa hota hai,
Mein kisi kaam main masroof,
Betha hota hoon,
Ke achaanak…
Apne daaye’n baaye’n,
Aagey peechey,
Kuch dhoondne lagta hoon,
Yun lagta hai,
Ke jese,
Apni koi baish-keemat* cheez,
Kahin rakh ke bhool geya hoon…
(baish-keemat;costly)
Javed Iqbal Saghar
Likhta hoon to tum hi utartey ho qalam se..
Likhta hoon to tum hi utartey ho qalam se,
Parhta hoon to lehja bhi tum, Awaz bhi tum..
Sunday, 5 January 2014
Tafarqa daalna aur aag lagatey rehna..
Tafarqa* daalna aur aag lagatey rehna,
Apne ghar ki bhi magar kher manatey rehna..
(Tafarqa;causing a misunderstanding)
Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua..
Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua,
Woh jo manzil ka rasta tha, be-maksad safar niklaa..
Be-maayini sa lagta hai, ghar jana bhi..
Be-maayini sa lagta hai, ghar jana bhi,
Deewaron se takrana bhi, mar jana bhi..
Dekho veerani hi veerani hai..
Dekho veerani hi veerani hai,
Dasht to dekh ke ghar yaad aya..
Saturday, 4 January 2014
Andheron me chamak raha tha ujaalon ki tarah..
Mein to andheron me chamak raha tha ujaalon ki tarah,
Tu ne dhoonda hi nahi mujh ko dhoondne walon ki tarah.
Hum ishq mein bhi kamaaal kartey hain..
Hum ishq mein bhi kamaaal kartey hain,
“I love you” likh kar “send to all” karte hain..
Raiza raiza hai akss mera..
Raiza raiza hai akss mera, magar hairat yeh hai,
Hai mera aayina salamat, to phir toota kya hai ..
Rooh mein koi gham hai poshida..
Rooh mein koi gham hai poshida,
Zindagi be-sabab udaas naheen..
Friday, 3 January 2014
Zindagi tu kabhi nahin ayi..
Zindagi tu kabhi nahin ayi,
Maut aayi hai zara zara kar ke..
Thursday, 2 January 2014
Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain..
Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain,
Jis tarah hum ne guzaaro hai woh hum jaantey hain..
Pichle baras tha khof tujhe kho na doon..
Pichle baras tha khof tujhe kho na doon,
Ab ke baras dua hai tera saamna na ho..
Tere hijraan se taluq ko nibhaney ke liye..
Tere hijraan se taluq ko nibhaney ke liye,
Mene iss saal bhi jeeney ki kasam khayi hai..
Pait bhara nahin sultaan ka sab samait kar..
Pait bhara nahin sultaan ka sab samait kar,
Qalandar donon hathon se luta kar raqss karta hai..
Wednesday, 1 January 2014
Sazaa ban jaati hain yaadein.
Sazaa ban jaati hain guzre huye waqt ki yaadein,
Janey kyun log matlab ke liye meherbaan hote hain..
Paak daaman to ho lekin magar..
Paak daaman to ho lekin magar socho,
Chaand jese ho, ungliyaan to uthen gi..